Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Alphabatically ....Asha`ar likhein

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

    Sandal say mahakti hoi pur kaif hawa ka
    Jhonka koi takra'ay to lagta hai k tum ho
    Jab raat ga'ay koi kiran mery baraber
    chup chap say so ja'ay to lagta ha k tum ho

    Comment


    • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

      zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraz
      zalim ab kay bhi na roye ga to marr jaye ga.

      Comment


      • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

        tabiyat in dino be'gana-e-gham hoti jaati hai
        merey hissey ki goya har khushi kam hoti jaati hai
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

          Zulm kero ya sitam kero hum gila nahi kertay
          Khizaan ma phool yaqeenan khila nahi kerty
          Milao khaak main mager itna khayal rahay
          Hum jaisay loog dobara mila nahi kertay

          Comment


          • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

            عزیز اتنا ہی رکھو کہ جی سنبھل جاۓ
            اب اِس قدر بھی نہ چاہو کہ دم نکل جاۓ
            ملے ہیں یوں تو بہت آؤ اب ملیں یوں بھی
            کہ روح گرمئِ انفاس سے پگھل جاۓ
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

              Ghoroor kay hi nashay ma thay jo , wo giray to phir sambhal na sakay
              Jinhain laghzishon nay sabaq dia , wo giray to uth kay sambhal ga'ay
              Hoa dil hazeen hoi aankh nam , mujhy yaad aay wo mohtaram
              Na suna saka onhain yay gazal , jo sikha kay ramz e gazal ga'ay

              Comment


              • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                فلسفۂ عشق میں پیش آۓ سوالوں کی طرح
                ہم پریشاں ہی رہے اپنے خیالوں کی طرح
                شیشہ گر بیٹھے رہے ذکرِ مسیحا لیکر
                اور ہم ٹوٹ گئے کانچ کے پیالوں کی طرح
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                  Qurbaton men bhii judaaii ke zamaane maange
                  dil wo bemehar ke rone ke bahaane maange

                  apna ye haal ke jii haar chuke lut bhii chuke
                  aur muhabbat wohii andaaz puraane maange

                  Comment


                  • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                    Kahee bay kinaar say rat jagay , kahee zar nigaar say khawab day
                    Tera kiya osool hai zindagi ! mujhy kon is ka jawaab day
                    Kabhi yon bhi ho tery robaro , ma nazar mila kay kah sakon
                    Meri hasraton ka shumaar ker , meri khawahishon ka hisaab day

                    Comment


                    • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                      gaoun mit jaey ga shehar jal jaey ga
                      zindagi tera chehra badal jaey ga
                      kuchh likho marsiya masanvi ya ghazal
                      koi kaghiz ho paani mein gal jaey ga
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                        Lab hon mery to dua os ki ho
                        Her khushi mery Khuda oski ho

                        Comment


                        • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                          mazzey jahan key apni nazar mein khaak nahin
                          siwaey khoon-e-jigar, so jigar mein khaak nahin
                          yeh bahisht shimaeel ki aamad aamad hai
                          keh ghair jalwa-e-gul raah'guzar mein khaak nahin
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                            Na yay samjho kay tum hi aakhri meri mohabbat ho
                            Mohabbat jurm hai hum say dobara ho bhi sakta hai
                            Mera milna , bichar jana , bichar ky phir sy mil jana
                            Hamesha ki judaai ka ishaara ho bhi sakta hai

                            Comment


                            • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                              woh aa key khawab mein taskeen-e-iztraab to dey
                              waley mujhey tapash-e-dil majaal-e-khawab to dey
                              karey hai qatl lagawat mein tera ro dena
                              teri tarah koi tegh-e-nigaah ko aab to dey
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment


                              • Re: Alphabatically ....Asha`ar likhein

                                Hai naveed e subh tery liay , nai sa'aton ko shumaar ker
                                Na'ay mosamon ko talaash ker , Tu kise khizan ko bahar ker
                                Na raha hai gher , na hi humsafer koi shaam ha na koi sahar
                                Koi ghum na ker na malaal ker , vO jo bach ga'ay onhy pyar ker

                                Comment

                                Working...
                                X